Saturday 26 March 2016

Ghurbat Or Tangdasti Door Karnay Ka Amal

TANGDASTI DOOR KARNAY K LIYE

Sarkar E Dojahan (S.A.W.) ki Bargah main aik Shakhs intehai khasta halat main hazir hua jis k chehray say ghurbat k aasar saaf zahir ho rahay thay. Us nay salam k baad arz ki k Ya Rasool Allah (S.A.W.) main Aap k samnay apni faryad paish karna chahta hon k mujh par is waqt Rizq ki bohat tangi hai jis waja say bayshumar masaib main mubtila hon aur har qisam ki dua Bargah E Ilaahi main kar k aajiz agaya hon samajh nahi ati k is Tangdasti ko kesay khatam karon? Sarkar E Dojahan (S.A.W.) nay usay kuch Muqadas Kalmat talawat karnay ki takeed kartay huye farmaya k agar tu nay 11 din k andr Rab ko raazi kar liya to in Kalmat ki Barkat say tera Rizq jari ho jaega aur zindagi main kabhi bhi dobara Tangdasti nahi hogi. Ye sun kar wo Sayel bohat khush hua aur Sarkar E Dojahan (S.A.W.) say Rukhsat honay ki Ijazat talab ki. 11 din baad wohi Sayel dobara hazir e khidmat hua lakin uski halat pehle say bhi bud tar thi aur bohat mayoos ho kar arz karnay laga k Sarkar mere halat to pehle say bhi kharab ho gaye hain main to Allah ki Rahmat say mazeed mayoos hogaya hon. Is par Sarkar E Dojahan (S.A.W.) farmanay lagay in Kalmat ko talawat karnay k saath kiya tu nay Rab ko Raazi kiya? Sayel nay jawab diya Ya Rasool Allah (S.A.W.) main nay in kalmat ko pabandi say parha aur Namaz k ilawa deegr Ibadaat bhi karta raha lakin pata nahi main Allah ki Raza hasil karnay main phir bhi Nakam kiun raha. Is par Sarkar E Dojahan (S.A.W.) muskura’ay aur farmaya jab tak tu Gunahon say baaz na ayega Rab ki raza hasil na hogi aur tangdasti tujhe gheray rahay gi kiun k Ye Insan k Gunah hi hain jo us k Rizq main tangdasti paida kartay hain isliye inhen tarak kiye bina tera Rizq jari na hoga. Ye sun kar Sayel nay kaha k main Allah k hazoor toba karta hon aur is bar main Allah ki Raza hasil kar k hi dobara hazir hon ga aur ye keh kar rukhsat ho gaya. 

READ%20MORE